Saturday, May 2, 2009


“Saans le raha hun par zinda nahi hun main..
Toota hua hun… par abhi bikhra nahi hun main…
Jin aakhri umeedon ke sahare tha zinda….
Unhi sahaaron ko Beech raah tanha chhod aaya hun main…
Hoke zuda zindagi se apni hua ehsaas ….
Apna wajood to uske paas hi dafan kar aya hun main…
Har lamha bhi ek ehsaan ki tarah basar hota hai ab to
Apni pahchaan ko andheron me kahin kho aya hun main…
Meri Aankhon se poocho ke raat kaisi gujri….
Unki yaadon se khud ko ab tak zuda na kar paya hun main..!!

Haqikat kya hai meri ye jaanta hun ...
Par fir bhi apni haar nahi manta hun main…
Har mausam me zindagi tera rang dekha hai maine…
Ye patjhad ka ped ab hara na hoga ye bhi janta hun main…
Laut ke savan mera kabhi aayega nahi…
Jane kyun fir bhi bearish se pyaar ab tak karta hun main…
Teri yaadon me jiya hun…andheron ki aadat hai mujhe…
Tujhe paana chahata hun par ujaalon se darta hun main…
Sath hai ab tak teri baaten vo sare wade,,,,
Fir bhi zindagi me bhut akela hun main!!”
By – Parul Bhatnagar (3 july08 , 3am)

2 comments:

  1. hi parul

    very -2 excellent---g8 keep it up..

    ReplyDelete
  2. U R a g8 creater....if possible can i sent u r collection.....i want to also take intrest you imagenation...

    Regards
    Indiansultankhan

    ReplyDelete